Friday, October 13, 2006

Woh Dil Hi Kya

woh dil hi kya tere milne ki jo dua na karein.....main tujhko bhool kar zinda rahoon khuda na karein....rahega pyar tere saath main zindagi ban kar....yeh aur baat meri zindagi agar wafa na karein.....suna hai mohobat usko duwayein deti hai...jo chot khaaye dil par magar gilla na karein....yeh thik hai marta nahin koi judaayi main....magar khuda kisi ko kisi sey juda na karein....woh dil hi kya tere milne ki jo dua na karein....main tujhko bhool kar zinda rahoon khuda na karein

No comments: